main apne aap se Darne laga tha
maiñ apne aap se Darne lagā thā
galī kā shor ghar meñ aa gayā thā
pareshāñ thā khulā darvāza ghar kā
koī khiḌkī pe dastak de rahā thā
use maiñ shahr bhar meñ DhūñDh aayā
mire kamre meñ vo baiThā huā thā
vahāñ ke log bhī kitne ajab the
ajab logoñ meñ ghir ke rah gayā thā
bahut ḳhush ho rahā thā mujh se mil ke
na jaane aaj us ke dil meñ kyā thā
use maiñ ne bhī kal dekhā thā 'alvī'
na.e kapḌe pahan ke jā rahā thā
main apne aap se Darne laga tha
gali ka shor ghar mein aa gaya tha
pareshan tha khula darwaza ghar ka
koi khiDki pe dastak de raha tha
use main shahr bhar mein DhunDh aaya
mere kamre mein wo baiTha hua tha
wahan ke log bhi kitne ajab the
ajab logon mein ghir ke rah gaya tha
bahut KHush ho raha tha mujh se mil ke
na jaane aaj us ke dil mein kya tha
use main ne bhi kal dekha tha 'alwi'
nae kapDe pahan ke ja raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.