main apne aap se ek khel karne wala hun
maiñ apne aap se ik khel karne vaalā huuñ
sabhī ye soch rahe haiñ ki marne vaalā huuñ
kisī kī yaad kā mahtāb Dūbne ko hai
maiñ phir se shab kī tahoñ meñ utarne vaalā huuñ
sameT lo mujhe apnī sadā ke halqoñ meñ
maiñ ḳhāmushī kī havā se bikharne vaalā huuñ
mujhe Dubone kā manzar hasīn thā lekin
hasīn-tar hai ye manzar ubharne vaalā huuñ
hayāt farz thī yā qarz kaTne vaalī hai
maiñ jism o jaañ kī hadoñ se guzarne vaalā huuñ
maiñ saath le ke chalūñgā tumheñ ai ham-safaro
maiñ tum se aage huuñ lekin Thaharne vaalā huuñ
sadā-e-dasht sahī merī zindagī 'āzād'
ḳhalā-e-dasht ko apne se bharne vaalā huuñ
main apne aap se ek khel karne wala hun
sabhi ye soch rahe hain ki marne wala hun
kisi ki yaad ka mahtab Dubne ko hai
main phir se shab ki tahon mein utarne wala hun
sameT lo mujhe apni sada ke halqon mein
main KHamushi ki hawa se bikharne wala hun
mujhe Dubone ka manzar hasin tha lekin
hasin-tar hai ye manzar ubharne wala hun
hayat farz thi ya qarz kaTne wali hai
main jism o jaan ki hadon se guzarne wala hun
main sath le ke chalunga tumhein ai ham-safaro
main tum se aage hun lekin Thaharne wala hun
sada-e-dasht sahi meri zindagi 'azad'
KHala-e-dasht ko apne se bharne wala hun
- Book : Aab-e-Sharab (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.