main apne-ap se pichha chhuDa ke
maiñ apne-āp se pīchhā chhuḌā ke
nikal jā.ūñ kahīñ rassī tuḌā ke
qadam āḳhir uThānā hī paḌegā
nahīñ to gir paḌūñgā Dagmagā ke
kahāñ hai ab vo mashq āvārgī kī
sambhal jā.ūñgā lekin laḌkhaḌā ke
kisī ke dar pe jaane kā natīja
maiñ dekh aayā huuñ us ke dar pe jā ke
basar kī is tarah duniyā meñ goyā
guzārī jail meñ chakkī chalā ke
likhī hai bandagī meñ sar-bulandī
milo har aadmī se sar jhukā ke
kisī ke kaam aao zindagī meñ
ḳhushī hogī kisī ke kaam aa ke
main apne-ap se pichha chhuDa ke
nikal jaun kahin rassi tuDa ke
qadam aaKHir uThana hi paDega
nahin to gir paDunga Dagmaga ke
kahan hai ab wo mashq aawargi ki
sambhal jaunga lekin laDkhaDa ke
kisi ke dar pe jaane ka natija
main dekh aaya hun us ke dar pe ja ke
basar ki is tarah duniya mein goya
guzari jail mein chakki chala ke
likhi hai bandagi mein sar-bulandi
milo har aadmi se sar jhuka ke
kisi ke kaam aao zindagi mein
KHushi hogi kisi ke kaam aa ke
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 39)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.