main apne iKHtiyar mein hun bhi nahin bhi hun
maiñ apne iḳhtiyār meñ huuñ bhī nahīñ bhī huuñ
duniyā ke kārobār meñ huuñ bhī nahīñ bhī huuñ
terī hī justujū meñ lagā hai kabhī kabhī
maiñ tere intizār meñ huuñ bhī nahīñ bhī huuñ
fihrist marne vāloñ kī qātil ke paas hai
maiñ apne hī mazār meñ huuñ bhī nahīñ bhī huuñ
auroñ ke saath aisā koī mas.ala nahīñ
ik maiñ hī is dayār meñ huuñ bhī nahīñ bhī huuñ
mujh se hī hai har ek siyāsat kā e'tibār
phir bhī kisī shumār meñ huuñ bhī nahīñ bhī huuñ
main apne iKHtiyar mein hun bhi nahin bhi hun
duniya ke karobar mein hun bhi nahin bhi hun
teri hi justuju mein laga hai kabhi kabhi
main tere intizar mein hun bhi nahin bhi hun
fihrist marne walon ki qatil ke pas hai
main apne hi mazar mein hun bhi nahin bhi hun
auron ke sath aisa koi masala nahin
ek main hi is dayar mein hun bhi nahin bhi hun
mujh se hi hai har ek siyasat ka e'tibar
phir bhi kisi shumar mein hun bhi nahin bhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.