main apne jism ki diwar mein chunun KHud ko
maiñ apne jism kī dīvār meñ chunūñ ḳhud ko
phir apne-āp se bāteñ karūñ sunūñ ḳhud ko
tamām shahr meñ bikhrā paḌā hai merā vajūd
koī batā.e bhalā kis tarah chunūñ ḳhud ko
nikal paḌā huuñ maiñ ham-zād DhūñDne apnā
lagā ke baiThā huā huuñ ajab junūñ ḳhud ko
mire vajūd ke sab tāne-bāne uljhe haiñ
kidhar kidhar se maiñ suljhā.ūñ aur banūñ ḳhud ko
vo chiiz kyā hai ki jis kī talāsh meñ 'at.har'
udheḌ udheḌ ke apnā badan dhunoñ ḳhud ko
main apne jism ki diwar mein chunun KHud ko
phir apne-ap se baaten karun sunun KHud ko
tamam shahr mein bikhra paDa hai mera wajud
koi batae bhala kis tarah chunun KHud ko
nikal paDa hun main ham-zad DhunDne apna
laga ke baiTha hua hun ajab junun KHud ko
mere wajud ke sab tane-bane uljhe hain
kidhar kidhar se main suljhaun aur banun KHud ko
wo chiz kya hai ki jis ki talash mein 'athar'
udheD udheD ke apna badan dhunon KHud ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.