main apne jism mein kuchh is tarah se bikhra hun
maiñ apne jism meñ kuchh is tarah se bikhrā huuñ
ki ye bhī kah nahīñ saktā maiñ kaun huuñ kyā huuñ
unheñ ḳhushī hai isī baat se ki zinda huuñ
maiñ un kī daa.eñ hathelī kī ek rekhā huuñ
maiñ pī gayā huuñ ka.ī āñsuoñ ke sail-e-ravāñ
maiñ apne dil ko samundar banā.e baiThā huuñ
vo mere dost jo ek ek kar ke duur hue
maiñ un ko aaj bhī apne qarīb paatā huuñ
muhīt karne kī koshish fuzūl hai mujh ko
nadī kā chhor nahīñ huuñ maiñ bahtā dariyā huuñ
mujhī pe pheñke hai patthar jo koī aatā hai
ki jaise maiñ tirī khiḌkī kā koī shīsha huuñ
main apne jism mein kuchh is tarah se bikhra hun
ki ye bhi kah nahin sakta main kaun hun kya hun
unhen KHushi hai isi baat se ki zinda hun
main un ki daen hatheli ki ek rekha hun
main pi gaya hun kai aansuon ke sail-e-rawan
main apne dil ko samundar banae baiTha hun
wo mere dost jo ek ek kar ke dur hue
main un ko aaj bhi apne qarib pata hun
muhit karne ki koshish fuzul hai mujh ko
nadi ka chhor nahin hun main bahta dariya hun
mujhi pe phenke hai patthar jo koi aata hai
ki jaise main teri khiDki ka koi shisha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.