main apne sare karb-o-bala le ke jaunga
maiñ apne saare karb-o-balā le ke jā.ūñgā
maiñ jab bhī jā.ūñ apnī anā le ke jā.ūñgā
āñkhoñ kī aabrū kā bhī rakkhūñgā maiñ ḳhayāl
āñkhoñ meñ gar ḳhalā hai ḳhalā le ke jā.ūñgā
fir.aun-e-vaqt se jo karūñgā muqābla
maiñ bhī duā karūñgā asā le ke jā.ūñgā
saare sipāh-o-tīr-o-tafang-o-tabar liye
ik karbalā-e-shauq sivā le ke jā.ūñgā
dil hai ki ek dasht-e-viġhā kyā karūñgā maiñ
is dasht-e-be-fazā kī atā le ke jā.ūñgā
jab vo chalegā mamlikat-e-shar meñ sar-buland
maiñ qarya qarya ḳhūnīñ qabā le ke jā.ūñgā
be-taur-o-be-tarīq jiyā ab karūñgā ye
un ke huzūr hamd-o-sanā le ke jā.ūñgā
jab sārbān utreñge gulzār-e-hast meñ
maiñ is zamīñ se bād-e-sabā le ke jā.ūñgā
dīvār-e-qahqaha ke safīroñ ko ho ḳhabar
dīvār-e-qahqaha kī duā le ke jā.ūñgā
us va.ada-e-shafā.at-e-jāñ pe jiyo 'anīs'
un ne kahā hai terī shifā le ke jā.ūñgā
main apne sare karb-o-bala le ke jaunga
main jab bhi jaun apni ana le ke jaunga
aankhon ki aabru ka bhi rakkhunga main KHayal
aankhon mein gar KHala hai KHala le ke jaunga
firaun-e-waqt se jo karunga muqabla
main bhi dua karunga asa le ke jaunga
sare sipah-o-tir-o-tafang-o-tabar liye
ek karbala-e-shauq siwa le ke jaunga
dil hai ki ek dasht-e-wigha kya karunga main
is dasht-e-be-faza ki ata le ke jaunga
jab wo chalega mamlikat-e-shar mein sar-buland
main qarya qarya KHunin qaba le ke jaunga
be-taur-o-be-tariq jiya ab karunga ye
un ke huzur hamd-o-sana le ke jaunga
jab sarban utrenge gulzar-e-hast mein
main is zamin se baad-e-saba le ke jaunga
diwar-e-qahqaha ke safiron ko ho KHabar
diwar-e-qahqaha ki dua le ke jaunga
us wada-e-shafaat-e-jaan pe jiyo 'anis'
un ne kaha hai teri shifa le ke jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.