main apni bulandi ko bhi kho kar nahin girta
maiñ apnī bulandī ko bhī kho kar nahīñ girtā
TuuTā huā taara huuñ zamīñ par nahīñ girtā
har shāḳh se jaḌ phuuT ke girtī hai zamīñ meñ
bargad huuñ maiñ āñdhī meñ ukhaḌ kar nahīñ girtā
vo peḌ samar-dār kahīñ ghar meñ nahīñ hai
āñgan meñ mire ab koī patthar nahīñ girtā
is mahfil-e-yārāñ se agar jaate ho jaao
ik iiñT khisakne se kabhī ghar nahīñ girtā
lagtā hai kisī tiir se majrūh huā hai
varna tirī chhat par vo kabūtar nahīñ girtā
vus.at hī kahāñ hai ki samā jaa.e kisī tarah
is vāste nadiyoñ meñ samundar nahīñ girtā
har roz bachātā huuñ maiñ ḳhud ko yahāñ 'rahmat'
kaise kahūñ sar par koī patthar nahīñ girtā
main apni bulandi ko bhi kho kar nahin girta
TuTa hua tara hun zamin par nahin girta
har shaKH se jaD phuT ke girti hai zamin mein
bargad hun main aandhi mein ukhaD kar nahin girta
wo peD samar-dar kahin ghar mein nahin hai
aangan mein mere ab koi patthar nahin girta
is mahfil-e-yaran se agar jate ho jao
ek inT khisakne se kabhi ghar nahin girta
lagta hai kisi tir se majruh hua hai
warna teri chhat par wo kabutar nahin girta
wusat hi kahan hai ki sama jae kisi tarah
is waste nadiyon mein samundar nahin girta
har roz bachata hun main KHud ko yahan 'rahmat'
kaise kahun sar par koi patthar nahin girta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.