main baDh raha hun meri umr ghaTti jati hai
maiñ baḌh rahā huuñ mirī 'umr ghaTtī jaatī hai
ye nahr apne kināroñ se kaTtī jaatī hai
falak pe chāñd ravāñ hai ‘uqāb kī sūrat
shab-e-firāq paroñ meñ simaTtī jaatī hai
na jaane kis liye tasvīr mere saa.e kī
baḌhūñ jo milne to pīchhe ko haTtī jaatī hai
tujhe ḳhabar nahīñ jāgīr āsmāñ terī
tamām chāñd sitāroñ meñ baTtī jaatī hai
ġham-e-firāq bhī kuchh din kī lutf-andozī
phir us ke baa'd tabī'at uchaTtī jaatī hai
ugāldān hai tārīḳh jis ko kāġhaz par
har ek daur kī quvvat ulaTtī jaatī hai
main baDh raha hun meri 'umr ghaTti jati hai
ye nahr apne kinaron se kaTti jati hai
falak pe chand rawan hai ‘uqab ki surat
shab-e-firaq paron mein simaTti jati hai
na jaane kis liye taswir mere sae ki
baDhun jo milne to pichhe ko haTti jati hai
tujhe KHabar nahin jagir aasman teri
tamam chand sitaron mein baTti jati hai
gham-e-firaq bhi kuchh din ki lutf-andozi
phir us ke ba'd tabi'at uchaTti jati hai
ugaldan hai tariKH jis ko kaghaz par
har ek daur ki quwwat ulaTti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.