main bahaaron ke rup mein gum tha
maiñ bahāroñ ke ruup meñ gum thā
jab tujhe mujh se kuchh tabassum thā
thā vo apne hī ḳhauf kā mahkūm
jis kī āvāz meñ tahakkum thā
vasl terā rahā na raaz ki sub.h
dar-o-dīvār par tabassum thā
mere sheroñ meñ Dhal sakā na kabhī
jo mirī ruuh meñ tarannum thā
maiñ payambar na thā magar mujh se
māh-o-ḳhurshīd ko takallum thā
sab bahāne the kūcha-gardī ke
kaun terī talāsh meñ gum thā
merā sāhil na ban sakā 'sahbā'
merī fitrat meñ jo talātum thā
main bahaaron ke rup mein gum tha
jab tujhe mujh se kuchh tabassum tha
tha wo apne hi KHauf ka mahkum
jis ki aawaz mein tahakkum tha
wasl tera raha na raaz ki subh
dar-o-diwar par tabassum tha
mere sheron mein Dhal saka na kabhi
jo meri ruh mein tarannum tha
main payambar na tha magar mujh se
mah-o-KHurshid ko takallum tha
sab bahane the kucha-gardi ke
kaun teri talash mein gum tha
mera sahil na ban saka 'sahba'
meri fitrat mein jo talatum tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.