main banata tujhe ham-safar zindagi
maiñ banātā tujhe ham-safar zindagī
kaash aatī kabhī mere ghar zindagī
mere ḳhvāboñ ke bhī paañv jalne lage
ban ke dariyā nazar meñ utar zindagī
har ghaḌī aadmī ḳhud meñ martā rahā
is tarah kaT ga.ī be-ḳhabar zindagī
ham faqīroñ ke qābil rahī tū kahāñ
jā amīroñ kī koThī meñ mar zindagī
tū guzāre yā jī bhar ke jī le ise
aaj kī raat hai raat bhar zindagī
main banata tujhe ham-safar zindagi
kash aati kabhi mere ghar zindagi
mere KHwabon ke bhi panw jalne lage
ban ke dariya nazar mein utar zindagi
har ghaDi aadmi KHud mein marta raha
is tarah kaT gai be-KHabar zindagi
hum faqiron ke qabil rahi tu kahan
ja amiron ki koThi mein mar zindagi
tu guzare ya ji bhar ke ji le ise
aaj ki raat hai raat bhar zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.