main bhi hun ek makan ki had mein
maiñ bhī huuñ ik makān kī had meñ
ya.anī zinda huuñ apne marqad meñ
ḳhāmushī se ye ziist kar jaao
gūñjnā kyā zamīñ ke gumbad meñ
bhūltā hī nahīñ kahīñ bhī tū
mai-kade meñ rahūñ ki ma.abad meñ
vo bhī kyā ḳhuub haiñ jo pūchhte haiñ
kaun sī ḳhūbiyāñ haiñ murshid meñ
fāl-nāma hai zindagī bhī 'zafar'
jī rahā huuñ hurūf-e-abjad meñ
main bhi hun ek makan ki had mein
yani zinda hun apne marqad mein
KHamushi se ye zist kar jao
gunjna kya zamin ke gumbad mein
bhulta hi nahin kahin bhi tu
mai-kade mein rahun ki mabad mein
wo bhi kya KHub hain jo puchhte hain
kaun si KHubiyan hain murshid mein
fal-nama hai zindagi bhi 'zafar'
ji raha hun huruf-e-abjad mein
- Book : siip (Magzin) (Pg. 263)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.