main bhi kya karta ki isko bewafa hona hi tha
maiñ bhī kyā kartā ki is ko bevafā honā hī thā
zindagī ko ek din mujh se judā honā hī thā
har duā ko mere haq meñ bad-duā honā hī thā
ab kisī se kyā gila jo kuchh huā honā hī thā
apne be-ta.abīr ḳhvāboñ kī jalan kis se kahūñ
is gulābī shahr ko ātish-kada honā hī thā
phir bhī paanī kī mujhe qīmat adā karnī paḌī
mere lab par tishnagī kā zā.iqa honā hī thā
maut ke be-rahm hāthoñ ko bahāne kī talāsh
zindagī ke saath koī hādisa honā hī thā
maiñ bahut hassās huuñ is meñ kisī kā kyā qusūr
aa.ina ban kar mujhe sañg-āshnā honā hī thā
maiñ ne apne saare nāḳhun kaaT Daale the magar
zaḳhm ko 'ma.asūm' dobāra harā honā hī thā
main bhi kya karta ki is ko bewafa hona hi tha
zindagi ko ek din mujh se juda hona hi tha
har dua ko mere haq mein bad-dua hona hi tha
ab kisi se kya gila jo kuchh hua hona hi tha
apne be-tabir KHwabon ki jalan kis se kahun
is gulabi shahr ko aatish-kada hona hi tha
phir bhi pani ki mujhe qimat ada karni paDi
mere lab par tishnagi ka zaiqa hona hi tha
maut ke be-rahm hathon ko bahane ki talash
zindagi ke sath koi hadisa hona hi tha
main bahut hassas hun is mein kisi ka kya qusur
aaina ban kar mujhe sang-ashna hona hi tha
main ne apne sare naKHun kaT Dale the magar
zaKHm ko 'masum' dobara hara hona hi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.