main bhi kya zabt aazmata hun
maiñ bhī kyā zabt āzmātā huuñ
tauba kartā huuñ bhuul jaatā huuñ
ġham sā rahtā huuñ tujh se duurī meñ
aur qurbat meñ kho sā jaatā huuñ
apnī hastī kī azmateñ aksar
inkisārī se jhuk ke paatā huuñ
kyuuñ muqayyad huuñ zaat meñ apnī
jabki duniyā se dil lagātā huuñ
us kī zulfoñ ko ab ke suljhā kar
ḳhud ko uljhā huā sā paatā huuñ
jaane vaale ko ye nahīñ ma.alūm
maiñ tasavvur meñ us ko laatā huuñ
ġham-gusārī meñ dost kī 'ādil'
rañj sahtā huuñ muskurātā huuñ
main bhi kya zabt aazmata hun
tauba karta hun bhul jata hun
gham sa rahta hun tujh se duri mein
aur qurbat mein kho sa jata hun
apni hasti ki azmaten aksar
inkisari se jhuk ke pata hun
kyun muqayyad hun zat mein apni
jabki duniya se dil lagata hun
us ki zulfon ko ab ke suljha kar
KHud ko uljha hua sa pata hun
jaane wale ko ye nahin malum
main tasawwur mein us ko lata hun
gham-gusari mein dost ki 'adil'
ranj sahta hun muskuraata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.