Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main bunda-bandi ke darmiyan apne ghar ki chhat par khaDa raha hun

Jamal Ehsani

main bunda-bandi ke darmiyan apne ghar ki chhat par khaDa raha hun

Jamal Ehsani

MORE BYJamal Ehsani

    maiñ būñdā-bāndī ke darmiyān apne ghar chhat par khaḌā rahā huuñ

    charāġh thā koī jis ke ham-rāh rāt-bhar bhīgtā rahā huuñ

    ye ab khulā hai ki un meñ mere nasīb dūriyāñ chhupī thiiñ

    maiñ us ke hāthoñ jin lakīroñ ko muddatoñ chūmtā rahā huuñ

    maiñ sun chukā huuñ havāoñ aur bādaloñ meñ jo mashvare hue haiñ

    jo bārisheñ ab ke hone vaalī haiñ un ke qisse sunā rahā huuñ

    us ek vīrān peḌ par ab ka.ī parindoñ ke ghoñsle haiñ

    jo pichhle mausam meñ likh gayā thā vo naam maiñ DhūñDtā rahā huuñ

    safar lazzat se baḌh ke manzil qurb to mo'tabar nahīñ hai

    vo mil gayā aur maiñ abhī tak galī galī ḳhaak uḌā rahā huuñ

    main bunda-bandi ke darmiyan apne ghar ki chhat par khaDa raha hun

    charagh tha koi jis ke ham-rah raat-bhar bhigta raha hun

    ye ab khula hai ki un mein mere nasib ki duriyan chhupi thin

    main us ke hathon ki jin lakiron ko muddaton chumta raha hun

    main sun chuka hun hawaon aur baadalon mein jo mashware hue hain

    jo barishen ab ke hone wali hain un ke qisse suna raha hun

    us ek viran peD par ab kai parindon ke ghonsle hain

    jo pichhle mausam mein likh gaya tha wo nam main DhunDta raha hun

    safar ki lazzat se baDh ke manzil ka qurb to mo'tabar nahin hai

    wo mil gaya aur main abhi tak gali gali KHak uDa raha hun

    Source :
    • Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 63)
    • Author : Jamal Ehsani
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now