main chahti hun ab ke pareshan wo bhi ho
maiñ chāhtī huuñ ab ke pareshān vo bhī ho
dil ke muāmlāt meñ hairān vo bhī ho
maiñ to tamām umr hī tanhā rahī magar
kuchh roz mahfiloñ meñ to vīrān vo bhī ho
kyoñ maiñ bhī ḳhvāb-e-ishq kī qaidī rahūñ sadā
ik baar bazm-e-ishq kā mehmān vo bhī ho
us ke baġhair kaise kaTī zindagī mirī
ye soch kar kabhī to pashemān vo bhī ho
'anjum' ye dil ke raaz kahāñ khulne paa.e haiñ
shāyad ki apne aap se anjān vo bhī ho
main chahti hun ab ke pareshan wo bhi ho
dil ke muamlat mein hairan wo bhi ho
main to tamam umr hi tanha rahi magar
kuchh roz mahfilon mein to viran wo bhi ho
kyon main bhi KHwab-e-ishq ki qaidi rahun sada
ek bar bazm-e-ishq ka mehman wo bhi ho
us ke baghair kaise kaTi zindagi meri
ye soch kar kabhi to pasheman wo bhi ho
'anjum' ye dil ke raaz kahan khulne pae hain
shayad ki apne aap se anjaan wo bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.