main chhupa rahunga nigah-o-zaKHm ki oT mein
maiñ chhupā rahūñgā nigāh-o-zaḳhm kī oT meñ
kisī aur shaḳhs se dil lagā ke bhī dekhnā
sar-e-shāḳh-e-dil koī zaḳhm hai ki gulāb hai
mirī jaañ kī rag ke qarīb aa ke bhī dekhnā
koī taara chupke se rakhnā us kī hathelī par
vo udaas hai to use hañsā ke bhī dekhnā
vo jo shaam terī palak pe aa ke Thahr ga.ī
mirī raushnī kī hadoñ meñ lā ke bhī dekhnā
baḌī chiiz hai ye supurdagī kā mahīn pal
na samajh sako to mujhe gañvā ke bhī dekhnā
main chhupa rahunga nigah-o-zaKHm ki oT mein
kisi aur shaKHs se dil laga ke bhi dekhna
sar-e-shaKH-e-dil koi zaKHm hai ki gulab hai
meri jaan ki rag ke qarib aa ke bhi dekhna
koi tara chupke se rakhna us ki hatheli par
wo udas hai to use hansa ke bhi dekhna
wo jo sham teri palak pe aa ke Thahr gai
meri raushni ki hadon mein la ke bhi dekhna
baDi chiz hai ye supurdagi ka mahin pal
na samajh sako to mujhe ganwa ke bhi dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.