main dar pe tere dar-ba-dari se nikal aaya
maiñ dar pe tire dar-ba-darī se nikal aayā
chal kar ba-durustī ġhalatī se nikal aayā
ab mas.ala ye hai tire mahvar meñ kab utrūñ
maiñ apnī hadoñ se to kabhī se nikal aayā
kab mujh ko nikalnā thā ye hairat hai falak ko
maidān-e-zamīñ meñ maiñ abhī se nikal aayā
is tīra-shabī meñ kisī jugnū kī chamak hai
yā jugnū ḳhud is tīra-shabī se nikal aayā
ai arsh-e-mo.allā ke makīñ tujh ko ḳhabar hai
maiñ terī taraf be-ḳhabarī se nikal aayā
dhyān aayā mujhe raat kī tanhā-safarī kā
yak-dam koī saaya sā galī se nikal aayā
sau pech-e-rah-e-rāhbarī thā ki maiñ jis se
apne hunar-e-rāhravī se nikal aayā
vo lamha-e-avval ki tū jab aañkh meñ utrā
vo vaqt bhī kyā thā ki ghaḌī se nikal aayā
main dar pe tere dar-ba-dari se nikal aaya
chal kar ba-durusti ghalati se nikal aaya
ab masala ye hai tere mahwar mein kab utrun
main apni hadon se to kabhi se nikal aaya
kab mujh ko nikalna tha ye hairat hai falak ko
maidan-e-zamin mein main abhi se nikal aaya
is tira-shabi mein kisi jugnu ki chamak hai
ya jugnu KHud is tira-shabi se nikal aaya
ai arsh-e-moalla ke makin tujh ko KHabar hai
main teri taraf be-KHabari se nikal aaya
dhyan aaya mujhe raat ki tanha-safari ka
yak-dam koi saya sa gali se nikal aaya
sau pech-e-rah-e-rahbari tha ki main jis se
apne hunar-e-rahrawi se nikal aaya
wo lamha-e-awwal ki tu jab aankh mein utra
wo waqt bhi kya tha ki ghaDi se nikal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.