main dil pe jabr karunga tujhe bhula dunga
maiñ dil pe jabr karūñgā tujhe bhulā dūñgā
marūñgā ḳhud bhī tujhe bhī kaḌī sazā dūñgā
ye tīrgī mire ghar kā hī kyuuñ muqaddar ho
maiñ tere shahr ke saare diye bujhā dūñgā
havā kā haath baTā.ūñgā har tabāhī meñ
hare shajar se parinde maiñ ḳhud uḌā dūñgā
vafā karūñgā kisī sogvār chehre se
purānī qabr pe katba nayā sajā dūñgā
isī ḳhayāl meñ guzrī hai shām-e-dard aksar
ki dard had se baḌhegā to muskurā dūñgā
tū āsmān kī sūrat hai gar paḌegā kabhī
zamīñ huuñ maiñ bhī magar tujh ko aasrā dūñgā
baḌhā rahī haiñ mire dukh nishāniyāñ terī
maiñ tere ḳhat tirī tasvīr tak jalā dūñgā
bahut dinoñ se mirā dil udaas hai 'mohsin'
is aa.ine ko koī aks ab nayā dūñgā
main dil pe jabr karunga tujhe bhula dunga
marunga KHud bhi tujhe bhi kaDi saza dunga
ye tirgi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho
main tere shahr ke sare diye bujha dunga
hawa ka hath baTaunga har tabahi mein
hare shajar se parinde main KHud uDa dunga
wafa karunga kisi sogwar chehre se
purani qabr pe katba naya saja dunga
isi KHayal mein guzri hai sham-e-dard aksar
ki dard had se baDhega to muskura dunga
tu aasman ki surat hai gar paDega kabhi
zamin hun main bhi magar tujh ko aasra dunga
baDha rahi hain mere dukh nishaniyan teri
main tere KHat teri taswir tak jala dunga
bahut dinon se mera dil udas hai 'mohsin'
is aaine ko koi aks ab naya dunga
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 224)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.