main ek sham jo lauTa ghubar-e-jaan ban kar
maiñ ek shaam jo lauTā ġhubār-e-jāñ ban kar
bikhar ke rah gayā rāhoñ kī dāstāñ ban kar
maiñ ḳhud meñ gūñjtā huuñ ban ke terā sannāTā
mujhe na dekh mirī tarah be-zabāñ ban kar
maiñ apne aap kā vo shor thā tujhe pā kar
tujhe Darā diyā āvāz-e-be-amāñ ban kar
har ek shaḳhs hai afvāh aap hī apnī
har ik ko jāntā hai har koī gumāñ ban kar
tamām samteñ palaTtī sī jaan paḌtī haiñ
pahuñch rahā huuñ kahāñ dard-e-lā-makāñ ban kar
ye kis ko DhūñD rahā huuñ maiñ ek arse se
ḳhud apnā hī koī bhaTkā huā nishāñ ban kar
jo ḳhud the apnī sadā kā yaqīñ vahī to haiñ ham
pahāḌ jaise koī uḌ gayā dhuāñ ban kar
tū kar ke radd mujhe ḳhud ko zarā qubūl to kar
khaḌā huuñ tere liye ek imtihāñ ban kar
ḳhud apnī baat kā dukh ban ke rah na jā ai 'talḳh'
har ek dil meñ samā jā ġham-e-jahāñ ban kar
main ek sham jo lauTa ghubar-e-jaan ban kar
bikhar ke rah gaya rahon ki dastan ban kar
main KHud mein gunjta hun ban ke tera sannaTa
mujhe na dekh meri tarah be-zaban ban kar
main apne aap ka wo shor tha tujhe pa kar
tujhe Dara diya aawaz-e-be-aman ban kar
har ek shaKHs hai afwah aap hi apni
har ek ko jaanta hai har koi guman ban kar
tamam samten palaTti si jaan paDti hain
pahunch raha hun kahan dard-e-la-makan ban kar
ye kis ko DhunD raha hun main ek arse se
KHud apna hi koi bhaTka hua nishan ban kar
jo KHud the apni sada ka yaqin wahi to hain hum
pahaD jaise koi uD gaya dhuan ban kar
tu kar ke radd mujhe KHud ko zara qubul to kar
khaDa hun tere liye ek imtihan ban kar
KHud apni baat ka dukh ban ke rah na ja ai 'talKH'
har ek dil mein sama ja gham-e-jahan ban kar
- Book : Waseela (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.