main ek TuTi hui zat le ke aaya hun
maiñ ek TuuTī huī zaat le ke aayā huuñ
badan pe taaza savālāt le ke aayā huuñ
jahāñ se miltī hai har shaḳhs ko matā-e-hayāt
maiñ us jagah se bhī ḳhairāt le ke aayā huuñ
Thahar sakūñ to Thahar jā.ūñ chal sakūñ to chalūñ
ajab shikasta se hālāt le ke aayā huuñ
bulandiyāñ bhī mirā jism pastiyāñ bhī badan
na jaane kaise maqāmāt le ke aayā huuñ
mujhe yaqīn nahīñ log aisā kahte haiñ
maiñ apne saath kamālāt le ke aayā huuñ
mire lahū se huī ḳhāk-e-zindagī sairāb
ġhurūr-e-azmat-e-sādāt le ke aayā huuñ
jahān-e-sher-o-ġhazal mere naam likh 'parvāz'
gudāz-e-ramz-o-kināyāt le ke aayā huuñ
main ek TuTi hui zat le ke aaya hun
badan pe taza sawalat le ke aaya hun
jahan se milti hai har shaKHs ko mata-e-hayat
main us jagah se bhi KHairaat le ke aaya hun
Thahar sakun to Thahar jaun chal sakun to chalun
ajab shikasta se haalat le ke aaya hun
bulandiyan bhi mera jism pastiyan bhi badan
na jaane kaise maqamat le ke aaya hun
mujhe yaqin nahin log aisa kahte hain
main apne sath kamalat le ke aaya hun
mere lahu se hui KHak-e-zindagi sairab
ghurur-e-azmat-e-sadat le ke aaya hun
jahan-e-sher-o-ghazal mere nam likh 'parwaz'
gudaz-e-ramz-o-kinayat le ke aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.