main faizyab-e-gardish-e-saghar nahin hua
main faizyab-e-gardish-e-saghar nahin hua
Salahuddin Faiq Burhanpuri
MORE BYSalahuddin Faiq Burhanpuri
maiñ faizyāb-e-gardish-e-sāġhar nahīñ huā
kyuuñ ai nigāh-e-dost ye kyūñ-kar nahīñ huā
har ashk-e-ḳhūñ meñ gauhar-e-yaktā kī aab ho
vo ishq kyā jo husn kā zevar nahīñ huā
kyūñkar luTā.ī dil kī ye maiñ ne mohabbateñ
kuchh ġham nahīñ jo koī shanāvar nahīñ huā
baazī hamesha dil hī mohabbat meñ le gayā
ik ma.arka bhī tum se koī sar nahīñ huā
ik gardish-e-mudām ne ghere rakhā mujhe
ik lamha-e-sukūñ bhī mayassar nahīñ huā
kaifiyyat-e-hayāt se vāqif nahīñ hai vo
jis ko niyāz-e-ishq mayassar nahīñ huā
ye raaz apnī mast nigāhoñ se pūchh lo
kyuuñ dil rahīn-e-minnat-e-sāġhar nahīñ huā
fitrat hī ḳhud azal se hai sar-gufta-e-vafā
ai ḳhizr koī ishq kā rahbar nahīñ huā
'fā.iq' tamām raat ḳharāb-e-fuġhāñ rahā
lekin asar zarā bhī kisī par nahīñ huā
main faizyab-e-gardish-e-saghar nahin hua
kyun ai nigah-e-dost ye kyun-kar nahin hua
har ashk-e-KHun mein gauhar-e-yakta ki aab ho
wo ishq kya jo husn ka zewar nahin hua
kyunkar luTai dil ki ye main ne mohabbaten
kuchh gham nahin jo koi shanawar nahin hua
bazi hamesha dil hi mohabbat mein le gaya
ek marka bhi tum se koi sar nahin hua
ek gardish-e-mudam ne ghere rakha mujhe
ek lamha-e-sukun bhi mayassar nahin hua
kaifiyyat-e-hayat se waqif nahin hai wo
jis ko niyaz-e-ishq mayassar nahin hua
ye raaz apni mast nigahon se puchh lo
kyun dil rahin-e-minnat-e-saghar nahin hua
fitrat hi KHud azal se hai sar-gufta-e-wafa
ai KHizr koi ishq ka rahbar nahin hua
'faiq' tamam raat KHarab-e-fughan raha
lekin asar zara bhi kisi par nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.