main gharib tha sahi par mera ishq tha nirala
maiñ ġharīb thā sahī par mirā ishq thā nirālā
chalo yaad to karegā mujhe bhuul jaane vaalā
na jalāo reg-e-tafta mire dil ko yuuñ ḳhudā-rā
kahīñ phaT gayā jo dekho mire paañv kā ye chhālā
kabhī sher meñ sarāhā kabhī nazm meñ piroyā
maiñ ne ātish-e-nihāñ se tire husn ko ujālā
mirī jaan kī amaañ ho maiñ ne kī bayāñ haqīqat
nahīñ hazm hogā tujh ko ye ġharīb kā nivāla
maiñ zamīñ meñ gaḌ gayā thā tujhe dekh kar nashe meñ
miyāñ kal jo muġhbachoñ ne tirī pagḌī ko uchhālā
mujhe sharm aa rahī hai hare baaġh mat dikhānā
tujhe yaad ho jo nañgā bhare baaġh se nikālā
main gharib tha sahi par mera ishq tha nirala
chalo yaad to karega mujhe bhul jaane wala
na jalao reg-e-tafta mere dil ko yun KHuda-ra
kahin phaT gaya jo dekho mere panw ka ye chhaala
kabhi sher mein saraha kabhi nazm mein piroya
main ne aatish-e-nihan se tere husn ko ujala
meri jaan ki aman ho main ne ki bayan haqiqat
nahin hazm hoga tujh ko ye gharib ka niwala
main zamin mein gaD gaya tha tujhe dekh kar nashe mein
miyan kal jo mughbachon ne teri pagDi ko uchhaala
mujhe sharm aa rahi hai hare bagh mat dikhana
tujhe yaad ho jo nanga bhare bagh se nikala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.