main har be-jaan harf-o-lafz ko goya banata hun
maiñ har be-jān harf-o-lafz ko goyā banātā huuñ
ki apne fan se patthar ko bhī ā.īna banātā huuñ
maiñ insāñ huuñ mirā rishta 'brāhīm' aur 'āzar' se
kabhī mandir kalīsā aur kabhī ka.aba banātā huuñ
mirī fitrat kisī kā bhī ta.āvun le nahīñ saktī
imārat apne ġham-ḳhāne kī maiñ tanhā banātā huuñ
na jaane kyuuñ adhūrī hī mujhe tasvīr jachtī hai
maiñ kāġhaz haath meñ lekar faqat chehra banātā huuñ
mirī ḳhvāhish kā koī ghar ḳhudā ma.alūm kab hogā
abhī to zehn ke parde pe bas naqsha banātā huuñ
maiñ apne saath rakhtā huuñ sadā aḳhlāq kā pāras
isī patthar se miTTī chhū ke maiñ sonā banātā huuñ
main har be-jaan harf-o-lafz ko goya banata hun
ki apne fan se patthar ko bhi aaina banata hun
main insan hun mera rishta 'brahim' aur 'azar' se
kabhi mandir kalisa aur kabhi kaba banata hun
meri fitrat kisi ka bhi taawun le nahin sakti
imarat apne gham-KHane ki main tanha banata hun
na jaane kyun adhuri hi mujhe taswir jachti hai
main kaghaz hath mein lekar faqat chehra banata hun
meri KHwahish ka koi ghar KHuda malum kab hoga
abhi to zehn ke parde pe bas naqsha banata hun
main apne sath rakhta hun sada aKHlaq ka paras
isi patthar se miTTi chhu ke main sona banata hun
- Book : khushboo ki rishtadari (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.