main harf dekhun ki raushni ka nisab dekhun
maiñ harf dekhūñ ki raushnī kā nisāb dekhūñ
magar ye aalam ki Tahniyoñ par gulāb dekhūñ
purāne ḳhvāboñ se reza reza badan huā hai
ye chāhtā huuñ ki ab nayā koī ḳhvāb dekhūñ
ye rāste to mirī hathelī ke tarjumāñ haiñ
maiñ in lakīroñ meñ zindagī kī kitāb dekhūñ
murāja.at kā safar to mumkin nahīñ rahā hai
maiñ chaltā jā.ūñ ki mausamoñ kā azaab dekhūñ
maiñ apnī tasvīr dekh kar mutma.in kahāñ huuñ
vo din bhī aa.e lahū ko jab kāmyāb dekhūñ
main harf dekhun ki raushni ka nisab dekhun
magar ye aalam ki Tahniyon par gulab dekhun
purane KHwabon se reza reza badan hua hai
ye chahta hun ki ab naya koi KHwab dekhun
ye raste to meri hatheli ke tarjuman hain
main in lakiron mein zindagi ki kitab dekhun
murajat ka safar to mumkin nahin raha hai
main chalta jaun ki mausamon ka azab dekhun
main apni taswir dekh kar mutmain kahan hun
wo din bhi aae lahu ko jab kaamyab dekhun
- Book : Aiwan (Pg. 12)
- Author : Nirali Duniya
- Publication : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.