main hawa ko munjamid kar dun to kaise sans lun
maiñ havā ko munjamid kar duuñ to kaise saañs luuñ
ret par gir jā.ūñ aur phir ukhḌe ukhḌe saañs luuñ
kab talak roke rakkhūñ maiñ pāniyoñ kī tah meñ saañs
kyuuñ na ik din satah-e-dariyā se nikal ke saañs luuñ
qila-e-koh-sār par maiñ rakh to duuñ zarrīñ charāġh
lekin itnī shart hai ki us ke badle saañs luuñ
ḳhvāb ke matrūk gumbad se nikal kar ek din
apnī āñkheñ khol duuñ aur lambe lambe saañs luuñ
main hawa ko munjamid kar dun to kaise sans lun
ret par gir jaun aur phir ukhDe ukhDe sans lun
kab talak roke rakkhun main paniyon ki tah mein sans
kyun na ek din satah-e-dariya se nikal ke sans lun
qila-e-koh-sar par main rakh to dun zarrin charagh
lekin itni shart hai ki us ke badle sans lun
KHwab ke matruk gumbad se nikal kar ek din
apni aankhen khol dun aur lambe lambe sans lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.