main hi anjam main hi ibtida hun
maiñ hī anjām maiñ hī ibtidā huuñ
thamā vaqfa huuñ maiñ hī silsila huuñ
mizāj-e-dil mirā gosha-guzīñ hai
zamāne kī nazar meñ nak-chaḌhā huuñ
fasāna nisf hī zāhir hai merā
hañsī meñ ġham chhupātā masḳharā huuñ
jo ġhurbat meñ bhī dil ko de ra.īsī
maiñ muflis kā vahīñ ik hausla huuñ
kitāboñ meñ jo yakjā ho na paayā
vo daa.im zindagī kā tajraba huuñ
main hi anjam main hi ibtida hun
thama waqfa hun main hi silsila hun
mizaj-e-dil mera gosha-guzin hai
zamane ki nazar mein nak-chaDha hun
fasana nisf hi zahir hai mera
hansi mein gham chhupata masKHara hun
jo ghurbat mein bhi dil ko de raisi
main muflis ka wahin ek hausla hun
kitabon mein jo yakja ho na paya
wo daim zindagi ka tajraba hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.