main hijab-e-guman tu hijab-e-yaqin
maiñ hijāb-e-gumāñ tū hijāb-e-yaqīñ
likh mirī ruuh par iztirāb-e-yaqīñ
jab muqaddar meñ be-nūr ta.abīr thī
kyoñ dikhā.e ujāloñ ne ḳhvāb-e-yaqīñ
apne hone kā ehsās bhī vahm sā
kā.enāt-e-tafakkur sarāb-e-yaqīñ
jism se ruuh tak āgahī kā safar
aur kuchh bhī nahīñ inqalāb-e-yaqīñ
harf-tā-harf sab nafs be-nūr haiñ
aaj dīmak-zada hai kitāb-e-yaqīñ
kitnī gahrī hai idrāk kī tīrgī
mere dil meñ utar āftāb-e-yaqīñ
chhīn lenā basārat mire ilm kī
jab bhī karne lagūñ ehtisāb-e-yaqīñ
merā malbūs ban e'timād-e-amal
le tire naam hai intisāb-e-yaqīñ
dā.era dā.era sab hī mahsūr haiñ
kaun kholegā 'parvāz' bāb-e-yaqīñ
main hijab-e-guman tu hijab-e-yaqin
likh meri ruh par iztirab-e-yaqin
jab muqaddar mein be-nur tabir thi
kyon dikhae ujalon ne KHwab-e-yaqin
apne hone ka ehsas bhi wahm sa
kaenat-e-tafakkur sarab-e-yaqin
jism se ruh tak aagahi ka safar
aur kuchh bhi nahin inqalab-e-yaqin
harf-ta-harf sab nafs be-nur hain
aaj dimak-zada hai kitab-e-yaqin
kitni gahri hai idrak ki tirgi
mere dil mein utar aaftab-e-yaqin
chhin lena basarat mere ilm ki
jab bhi karne lagun ehtisab-e-yaqin
mera malbus ban e'timad-e-amal
le tere nam hai intisab-e-yaqin
daera daera sab hi mahsur hain
kaun kholega 'parwaz' bab-e-yaqin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.