main hua zinat-e-makan-e-qafas
maiñ huā zīnat-e-makān-e-qafas
dūd-e-afġhāñ hai sā.ebān-e-qafas
lo asīro karo bayān-e-chaman
aur mujh se suno bayān-e-qafas
zo.af se maiñ nazar nahīñ aatā
jaane sayyād mujh ko jān-e-qafas
tū samajhtā nahīñ mirī sayyād
maiñ samajhtā nahīñ zabān-e-qafas
aa ga.ī lab tak āh-e-ātish-bār
ab ḳhudā hai nigāh-bān-e-qafas
nahīñ aatī ḳhabar rihā.ī kī
tāl-e-bad hai pāsbān-e-qafas
kis kī fariyād ne hilā.ī zamīñ
kis pe TuuTā hai āsmān-e-qafas
'sālik' aane se maut ke hogā
fā.eda apnā aur ziyān-e-qafas
main hua zinat-e-makan-e-qafas
dud-e-afghan hai saeban-e-qafas
lo asiro karo bayan-e-chaman
aur mujh se suno bayan-e-qafas
zoaf se main nazar nahin aata
jaane sayyaad mujh ko jaan-e-qafas
tu samajhta nahin meri sayyaad
main samajhta nahin zaban-e-qafas
aa gai lab tak aah-e-atish-bar
ab KHuda hai nigah-ban-e-qafas
nahin aati KHabar rihai ki
tal-e-bad hai pasban-e-qafas
kis ki fariyaad ne hilai zamin
kis pe TuTa hai aasman-e-qafas
'salik' aane se maut ke hoga
faeda apna aur ziyan-e-qafas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.