main hujum-e-gham se ghabraya nahin
maiñ hujūm-e-ġham se ghabrāyā nahīñ
koī lamha garche raas aaya nahīñ
vaqt kī badlī huī qadroñ ke saath
zindagī meñ inqalāb aaya nahīñ
jin kī zulfoñ kā rahā huuñ maiñ asiir
un kī yādoñ ne bhī taḌpāyā nahīñ
chamkā hai har lamha ummīdoñ kā chāñd
vaqt kī gardish ne gahnāyā nahīñ
bad-nasībī Derā Daale hī rahī
phir bhī kuchh logoñ ne Thukrāyā nahīñ
jis ke dar par muddatoñ sajda kiyā
us ne bhī kuchh faiz pahuñchāyā nahīñ
main hujum-e-gham se ghabraya nahin
koi lamha garche ras aaya nahin
waqt ki badli hui qadron ke sath
zindagi mein inqalab aaya nahin
jin ki zulfon ka raha hun main asir
un ki yaadon ne bhi taDpaya nahin
chamka hai har lamha ummidon ka chand
waqt ki gardish ne gahnaya nahin
bad-nasibi Dera Dale hi rahi
phir bhi kuchh logon ne Thukraya nahin
jis ke dar par muddaton sajda kiya
us ne bhi kuchh faiz pahunchaya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.