main hun aur mashghala-e-jama-dari hai yahu
maiñ huuñ aur mashġhala-e-jāma-darī hai yaahū
kaif-dar-kaif 'ajab be-ḳhabarī hai yā-hū
har taraf sahar-e-nafī ḳhauf-e-abad taarī hai
jaan levā ye balīġh-un-nazari hai yaahū
hast-dar-hast hijābāt ke sahrā Thahre
kyā ye tashrīh-e-maqām-e-bashrī hai yaahū
puurī quvvat se na kyuuñ dauḌūñ abad kī jānib
ziist ik ālam-e-afrātafrī hai yaahū
ik sañvartā huā lamha to kahīñ mil jaatā
dekh chehre pe mire dar-ba-darī hai yaahū
īn-o-āñ jab mere purkār kī gardish ke asiir
phir ye kyuuñ kis liye daryūza-garī hai yaahū
mere afkār haiñ iblāġh-gazīda to kyā
ek na.e taur kī ye dīda-varī hai yaahū
main hun aur mashghala-e-jama-dari hai yahu
kaif-dar-kaif 'ajab be-KHabari hai ya-hu
har taraf sahar-e-nafi KHauf-e-abad tari hai
jaan lewa ye baligh-un-nazari hai yahu
hast-dar-hast hijabaat ke sahra Thahre
kya ye tashrih-e-maqam-e-bashri hai yahu
puri quwwat se na kyun dauDun abad ki jaanib
zist ek aalam-e-afraatafri hai yahu
ek sanwarta hua lamha to kahin mil jata
dekh chehre pe mere dar-ba-dari hai yahu
in-o-an jab mere purkar ki gardish ke asir
phir ye kyun kis liye daryuza-gari hai yahu
mere afkar hain iblagh-gazida to kya
ek nae taur ki ye dida-wari hai yahu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.