main hun aur mera kamra hai
maiñ huuñ aur merā kamra hai
raat kā gahrā sannāTā hai
lab par haiñ insāf kī bāteñ
dil meñ adāvat kā jazba hai
kuchh to batā kyā baat hai āḳhir
kyuuñ itnā ḳhāmosh khaḌā hai
dil meñ ḳhalish rahtī hai aksar
terā merā kyā rishta hai
kis ko sunā.eñ kaun sunegā
dard bharā apnā qissa hai
aañkh khulī to ham ne jaanā
pyaar mohabbat ik sapnā hai
dekh liyā sansār ko 'ārif'
tū hī jag meñ sab se burā hai
main hun aur mera kamra hai
raat ka gahra sannaTa hai
lab par hain insaf ki baaten
dil mein adawat ka jazba hai
kuchh to bata kya baat hai aaKHir
kyun itna KHamosh khaDa hai
dil mein KHalish rahti hai aksar
tera mera kya rishta hai
kis ko sunaen kaun sunega
dard bhara apna qissa hai
aankh khuli to hum ne jaana
pyar mohabbat ek sapna hai
dekh liya sansar ko 'arif'
tu hi jag mein sab se bura hai
- Book : Kuchh Nazmen Kuchh Ghazalen (Pg. 145)
- Author : Arif Hasan Khan
- Publication : Arif Hasan Khan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.