main hun tera KHayal hai aur chand-raat hai
maiñ huuñ tirā ḳhayāl hai aur chāñd-rāt hai
dil dard se niDhāl hai aur chāñd-rāt hai
āñkhoñ meñ chubh ga.iiñ tirī yādoñ kī kirchiyāñ
kāñdhoñ pe ġham kī shaal hai aur chāñd-rāt hai
dil toḌ ke ḳhamosh nazāroñ kā kyā milā
shabnam kā ye savāl hai aur chāñd-rāt hai
phir titliyāñ sī uḌne lagīñ dasht-e-ḳhvāb meñ
phir ḳhvāhish-e-visāl hai aur chāñd-rāt hai
campus kī nahr par hai tirā haath haath meñ
mausam bhī lā-zavāl hai aur chāñd-rāt hai
har ik kalī ne oḌh liyā mātamī libās
har phuul par malāl hai aur chāñd-rāt hai
merī to por por meñ ḳhushbū sī bas ga.ī
us par tirā ḳhayāl hai aur chāñd-rāt hai
chhalkā sā paḌ rahā hai 'vasī' vahshatoñ kā rañg
har chiiz pe zavāl hai aur chāñd-rāt hai
main hun tera KHayal hai aur chand-raat hai
dil dard se niDhaal hai aur chand-raat hai
aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan
kandhon pe gham ki shaal hai aur chand-raat hai
dil toD ke KHamosh nazaron ka kya mila
shabnam ka ye sawal hai aur chand-raat hai
phir titliyan si uDne lagin dasht-e-KHwab mein
phir KHwahish-e-visal hai aur chand-raat hai
campus ki nahr par hai tera hath hath mein
mausam bhi la-zawal hai aur chand-raat hai
har ek kali ne oDh liya matami libas
har phul par malal hai aur chand-raat hai
meri to por por mein KHushbu si bas gai
us par tera KHayal hai aur chand-raat hai
chhalka sa paD raha hai 'wasi' wahshaton ka rang
har chiz pe zawal hai aur chand-raat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.