main hun to koi batlae ki han hun
maiñ huuñ to koī batlā.e ki haañ huuñ
sadā to de ki jānūñ maiñ kahāñ huuñ
yahī hai farq mujh meñ aur us meñ
yaqīñ hai vo to maiñ bas ik gumāñ huuñ
zamīñ se āsmāñ tak shor kaisā
to kyā sab ke liye bār-e-garāñ huuñ
baham us ko fazā-e-āsmānī
maiñ goyā band kamre meñ dhuāñ huuñ
maiñ phūTī us kī paslī se to TeḌhī
vo sīdhā tiir jaisā maiñ kamāñ huuñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb hai vo āb-e-dariyā
tire sahrāoñ meñ reg-e-ravāñ huuñ
kabhī ilzām lagtā hai ye honā
na ho kar bhī to maiñ tohmat ba-jāñ huuñ
dalīleñ Dher saarī tū zamīñ hai
ba-zid is par ki terā āsmāñ huuñ
ye duniyā-dār bachche jānte haiñ
mire qadmoñ meñ jannat hai ki maañ huuñ
main hun to koi batlae ki han hun
sada to de ki jaanun main kahan hun
yahi hai farq mujh mein aur us mein
yaqin hai wo to main bas ek guman hun
zamin se aasman tak shor kaisa
to kya sab ke liye bar-e-garan hun
baham us ko faza-e-asmani
main goya band kamre mein dhuan hun
main phuTi us ki pasli se to TeDhi
wo sidha tir jaisa main kaman hun
KHayal-o-KHwab hai wo aab-e-dariya
tere sahraon mein reg-e-rawan hun
kabhi ilzam lagta hai ye hona
na ho kar bhi to main tohmat ba-jaan hun
dalilen Dher sari tu zamin hai
ba-zid is par ki tera aasman hun
ye duniya-dar bachche jaante hain
mere qadmon mein jannat hai ki man hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.