main hun ya tu hai KHud apne se gurezan jaise
maiñ huuñ yā tū hai ḳhud apne se gurezāñ jaise
mare aage koī saaya hai ḳhirāmāñ jaise
tujh se pahle to bahāroñ kā ye andāz na thā
phuul yuuñ khilte haiñ jaltā ho gulistāñ jaise
yuuñ tirī yaad se hotā hai ujālā dil meñ
chāñdnī meñ chamak uThtā hai bayābāñ jaise
dil meñ raushan haiñ abhī tak tire va.adoñ kā charāġh
TūTtī raat ke taare hoñ farozāñ jaise
tujhe paane kī tamannā tujhe khone kā yaqīñ
tere gesū mire māhaul meñ ġhaltāñ jaise
vaqt badlā pa na badlā mirā me.ār-e-vafā
āñdhiyoñ meñ sar-e-kohsār charāġhāñ jaise
ashk āñkhoñ meñ chamakte haiñ tabassum ban kar
aa gayā haath tirā gosha-e-dāmāñ jaise
tujh se mil kar bhī tamannā hai ki tujh se miltā
pyaar ke ba.ad bhī lab rahte haiñ larzāñ jaise
bharī duniyā meñ nazar aatā huuñ tanhā tanhā
marġh-zāroñ meñ koī qarya-e-vīrāñ jaise
ġham-e-jānāñ ġham-e-daurāñ kī taraf yuuñ aayā
jānib-e-shahr chale duḳhtar-e-dahqāñ jaise
asr-e-hāzir ko sunātā huuñ is andāz meñ sher
mausam-e-gul ho mazāroñ pe gul-afshāñ jaise
zaḳhm bhartā hai zamāna magar is tarah 'nadīm'
sī rahā ho koī phūloñ ke garebāñ jaise
main hun ya tu hai KHud apne se gurezan jaise
mare aage koi saya hai KHiraman jaise
tujh se pahle to bahaaron ka ye andaz na tha
phul yun khilte hain jalta ho gulistan jaise
yun teri yaad se hota hai ujala dil mein
chandni mein chamak uThta hai bayaban jaise
dil mein raushan hain abhi tak tere wadon ka charagh
TuTti raat ke tare hon farozan jaise
tujhe pane ki tamanna tujhe khone ka yaqin
tere gesu mere mahaul mein ghaltan jaise
waqt badla pa na badla mera mear-e-wafa
aandhiyon mein sar-e-kohsar charaghan jaise
ashk aankhon mein chamakte hain tabassum ban kar
aa gaya hath tera gosha-e-daman jaise
tujh se mil kar bhi tamanna hai ki tujh se milta
pyar ke baad bhi lab rahte hain larzan jaise
bhari duniya mein nazar aata hun tanha tanha
margh-zaron mein koi qarya-e-viran jaise
gham-e-jaanan gham-e-dauran ki taraf yun aaya
jaanib-e-shahr chale duKHtar-e-dahqan jaise
asr-e-hazir ko sunata hun is andaz mein sher
mausam-e-gul ho mazaron pe gul-afshan jaise
zaKHm bharta hai zamana magar is tarah 'nadim'
si raha ho koi phulon ke gareban jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.