main insan-e-naua hun main isa-nafas hun
maiñ insān-e-naua huuñ maiñ īsā-nafas huuñ
zamīñ se tumhārī maiñ phir kal uThūñgā
maiñ aadam huuñ be-jāñ sā patthar nahīñ huuñ
bhañvar sā huuñ sahrā meñ pal pal uThūñgā
huuñ dariyā kā paanī ki jab bhī marūñgā
samundar kī ban ke maiñ halchal uThūñgā
kabhī kī jo sūraj ne va.ada-ḳhilāfī
ye hai merā va.ada ke maiñ jal uThūñgā
koī ishq jaise purānā ho 'ātif'
maiñ mar ke bhī dil meñ musalsal uThūñgā
main insan-e-naua hun main isa-nafas hun
zamin se tumhaari main phir kal uThunga
main aadam hun be-jaan sa patthar nahin hun
bhanwar sa hun sahra mein pal pal uThunga
hun dariya ka pani ki jab bhi marunga
samundar ki ban ke main halchal uThunga
kabhi ki jo suraj ne wada-KHilafi
ye hai mera wada ke main jal uThunga
koi ishq jaise purana ho 'atif'
main mar ke bhi dil mein musalsal uThunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.