main insan tha KHuda hone se pahle
maiñ insāñ thā ḳhudā hone se pahle
anal-haq kī anā hone se pahle
sila thā umr-bhar kī chāhatoñ kā
vo ik lamha judā hone se pahle
na jaane kis qadar masrūf hogā
tirā vāda-vafā hone se pahle
tū merī chāhatoñ meñ gum huā hai
maiñ ḳhushbū thā tirā hone se pahle
mirī gahrā.iyoñ meñ raaz tere
maiñ barsā huuñ ghaTā hone se pahle
adā ye raas aa.ī thī hameñ bhī
nayā dikhnā nayā hone se pahle
jalā.e rakh charāġh-e-ārzū yuuñ
duā paḌhnā davā hone se pahle
ye naġhma sā ye 'khullar' sher terā
ibādat thā adā hone se pahle
main insan tha KHuda hone se pahle
anal-haq ki ana hone se pahle
sila tha umr-bhar ki chahaton ka
wo ek lamha juda hone se pahle
na jaane kis qadar masruf hoga
tera wada-wafa hone se pahle
tu meri chahaton mein gum hua hai
main KHushbu tha tera hone se pahle
meri gahraiyon mein raaz tere
main barsa hun ghaTa hone se pahle
ada ye ras aai thi hamein bhi
naya dikhna naya hone se pahle
jalae rakh charagh-e-arzu yun
dua paDhna dawa hone se pahle
ye naghma sa ye 'khullar' sher tera
ibaadat tha ada hone se pahle
- Book : Khwaab Palkon Mein (Pg. 17)
- Author : Vishal Khullar
- Publication : Insha Publications (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.