main is hisar se niklun to aur kuchh sochun
maiñ is hisār se niklūñ to aur kuchh sochūñ
tumhāre pyaar se niklūñ to aur kuchh sochūñ
tirī galī ke alāva bhī aur qarye haiñ
jo is dayār se niklūñ to aur kuchh sochūñ
tumhāre hijr kī sadiyāñ tumhāre vasl ke din
maiñ is shumār se niklūñ to aur kuchh sochūñ
rachā huā hai tirā ishq merī poroñ meñ
maiñ is ḳhumār se niklūñ to aur kuchh sochūñ
ye merā jism ki mātam sarā.e hasrat hai
maiñ is mazār se niklūñ to aur kuchh sochūñ
ye mujh meñ kaun mire raat din sambhāltā hai
is iḳhtiyār se niklūñ to aur kuchh sochūñ
tumhāre jism kī ḳhushbū ne kar diyā mas.hūr
is ābshār se niklūñ to aur kuchh sochūñ
ye be-qarārī mirī ruuh kā ujālā hai
maiñ is qarār se niklūñ to aur kuchh sochūñ
main is hisar se niklun to aur kuchh sochun
tumhaare pyar se niklun to aur kuchh sochun
teri gali ke alawa bhi aur qarye hain
jo is dayar se niklun to aur kuchh sochun
tumhaare hijr ki sadiyan tumhaare wasl ke din
main is shumar se niklun to aur kuchh sochun
racha hua hai tera ishq meri poron mein
main is KHumar se niklun to aur kuchh sochun
ye mera jism ki matam sarae hasrat hai
main is mazar se niklun to aur kuchh sochun
ye mujh mein kaun mere raat din sambhaalta hai
is iKHtiyar se niklun to aur kuchh sochun
tumhaare jism ki KHushbu ne kar diya mashur
is aabshaar se niklun to aur kuchh sochun
ye be-qarari meri ruh ka ujala hai
main is qarar se niklun to aur kuchh sochun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.