main jaanta hun KHushamad-pasand kitna hai
maiñ jāntā huuñ ḳhushāmad-pasand kitnā hai
ye āsmān zamīñ se buland kitnā hai
tamām rasm uThā lī ga.ī mohabbat meñ
diloñ ke biich magar qaid-o-band kitnā hai
jo dekhtā hai vahī boltā hai logoñ se
ye aa.ina bhī haqīqat-pasand kitnā hai
tamām raat mire saath jāgtā hai koī
vo ajnabī hai magar dard-mand kitnā hai
maiñ us ke baare meñ aksar ye sochtā huuñ 'shakīl'
khulā huā hai vo itnā to band kitnā hai
main jaanta hun KHushamad-pasand kitna hai
ye aasman zamin se buland kitna hai
tamam rasm uTha li gai mohabbat mein
dilon ke bich magar qaid-o-band kitna hai
jo dekhta hai wahi bolta hai logon se
ye aaina bhi haqiqat-pasand kitna hai
tamam raat mere sath jagta hai koi
wo ajnabi hai magar dard-mand kitna hai
main us ke bare mein aksar ye sochta hun 'shakil'
khula hua hai wo itna to band kitna hai
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 38)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.