main jab bhi yaad ki shamen jala ke rakhti hun
maiñ jab bhī yaad kī sham.eñ jalā ke rakhtī huuñ
ye merī zid hai ki aage havā ke rakhtī huuñ
maiñ TuuT saktī huuñ lekin maiñ jhuk nahīñ saktī
shikast-e-zāt meñ pahlū anā ke rakhtī huuñ
vo bādbāñ hai agar kashtī-e-mohabbat kā
maiñ bādbān se rishte havā ke rakhtī huuñ
nahīñ hai ghar meñ tirī yaad ke alāva kuchh
to kis ke sāmne chaa.e banā ke rakhtī huuñ
tumhāre ḳhat haiñ mahakte gulāb ke mānind
vo aur khulte haiñ jitnā chhupā ke rakhtī huuñ
jo kahnā chāhtī huuñ vo to kah nahīñ paatī
zabāñ pe tazkire āb-o-havā ke rakhtī huuñ
maiñ jāntī huuñ ki aanā nahīñ kisī ne 'qamar'
magar muñDer pe sham.eñ jalā ke rakhtī huuñ
main jab bhi yaad ki shamen jala ke rakhti hun
ye meri zid hai ki aage hawa ke rakhti hun
main TuT sakti hun lekin main jhuk nahin sakti
shikast-e-zat mein pahlu ana ke rakhti hun
wo baadban hai agar kashti-e-mohabbat ka
main baadban se rishte hawa ke rakhti hun
nahin hai ghar mein teri yaad ke alawa kuchh
to kis ke samne chae bana ke rakhti hun
tumhaare KHat hain mahakte gulab ke manind
wo aur khulte hain jitna chhupa ke rakhti hun
jo kahna chahti hun wo to kah nahin pati
zaban pe tazkire aab-o-hawa ke rakhti hun
main jaanti hun ki aana nahin kisi ne 'qamar'
magar munDer pe shamen jala ke rakhti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.