main jab pahle-pahal is shahr-e-na-pursan mein aaya tha
maiñ jab pahle-pahal is shahr-e-nā-pursāñ meñ aayā thā
sabhī apne nazar aate the lekin kaun apnā thā
hasīñ the duur hī se sāhil-o-dariyā ke nazzāre
magar jab Duub kar dekhā to sāhil thā na dariyā thā
use in fāsloñ kā kuchh na kuchh ehsās to hogā
kabhī jis shaḳhs ke siine meñ merā dil dhaḌaktā thā
simaT aayā ho jaise dard merā us ke lahje meñ
na jaane aaj kis aalam meñ us ne haal pūchhā thā
kahāñ tak dil meñ shahr-e-ārzū ābād rakhte ham
jab apne sāmne hadd-e-nazar tak ġham kā sahrā thā
jahāñ-bhar ko ḳhabar kaise huī tark-e-ta.alluq kī
mujhe tum se ta.alluq thā jahāñ se vāsta kyā thā
main jab pahle-pahal is shahr-e-na-pursan mein aaya tha
sabhi apne nazar aate the lekin kaun apna tha
hasin the dur hi se sahil-o-dariya ke nazzare
magar jab Dub kar dekha to sahil tha na dariya tha
use in faslon ka kuchh na kuchh ehsas to hoga
kabhi jis shaKHs ke sine mein mera dil dhaDakta tha
simaT aaya ho jaise dard mera us ke lahje mein
na jaane aaj kis aalam mein us ne haal puchha tha
kahan tak dil mein shahr-e-arzu aabaad rakhte hum
jab apne samne hadd-e-nazar tak gham ka sahra tha
jahan-bhar ko KHabar kaise hui tark-e-talluq ki
mujhe tum se talluq tha jahan se wasta kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.