main jab se sach ko sach kahne laga hun
maiñ jab se sach ko sach kahne lagā huuñ
jahāñ kī aañkh meñ chubhne lagā huuñ
ujālā bāñTne kī ye sazā hai
anhariyā chāñd sā ghaTne lagā huuñ
bharam rakhnā un āñkhoñ kā ki jin ko
maiñ roshan-dān sā lagne lagā huuñ
maiñ us kirdār ko ab jī sakūñgā
maiñ us kirdār par marne lagā huuñ
main jab se sach ko sach kahne laga hun
jahan ki aankh mein chubhne laga hun
ujala banTne ki ye saza hai
anhariya chand sa ghaTne laga hun
bharam rakhna un aankhon ka ki jin ko
main roshan-dan sa lagne laga hun
main us kirdar ko ab ji sakunga
main us kirdar par marne laga hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.