main jab wajud ke hairat-kade se mil raha tha
maiñ jab vajūd ke hairat-kade se mil rahā thā
mujhe lagā maiñ kisī mo.ajize se mil rahā thā
maiñ jāgtā thā ki jab log so chuke the tamām
charāġh mujh se mire tajrabe se mil rahā thā
havas se hotā huā aa gayā maiñ 'ishq kī samt
ye silsila bhī usī rāste se mil rahā thā
ḳhudā se pahlī mulāqāt ho rahī thī mirī
maiñ apne aap ko jab sāmne se mil rahā thā
‘ajīb lai thī jo tāsīr de rahī thī mujhe
‘ajīb lams thā har zāviye se mil rahā thā
maiñ us ke sīna-e-shaffāf kī harī lau se
dahak rahā thā so puure maze se mil rahā thā
savāb-o-tā.at-o-taqvā fazīlat-o-alqāb
paḌe hue the kahīñ maiñ nashe se mil rahā thā
tire jamāl kā bujhnā to lāzmī thā ki tū
baġhair 'ishq kiye aa.ine se mil rahā thā
zamīn bhī mire āġhosh-e-surḳh meñ thī 'alī'
falak bhī mujh se hare zā.iqe se mil rahā thā
main jab wajud ke hairat-kade se mil raha tha
mujhe laga main kisi moajize se mil raha tha
main jagta tha ki jab log so chuke the tamam
charagh mujh se mere tajrabe se mil raha tha
hawas se hota hua aa gaya main 'ishq ki samt
ye silsila bhi usi raste se mil raha tha
KHuda se pahli mulaqat ho rahi thi meri
main apne aap ko jab samne se mil raha tha
‘ajib lai thi jo tasir de rahi thi mujhe
‘ajib lams tha har zawiye se mil raha tha
main us ke sina-e-shaffaf ki hari lau se
dahak raha tha so pure maze se mil raha tha
sawab-o-taat-o-taqwa fazilat-o-alqab
paDe hue the kahin main nashe se mil raha tha
tere jamal ka bujhna to lazmi tha ki tu
baghair 'ishq kiye aaine se mil raha tha
zamin bhi mere aaghosh-e-surKH mein thi 'ali'
falak bhi mujh se hare zaiqe se mil raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.