main jab wajud se hote hue guzarta hun
maiñ jab vajūd se hote hue guzartā huuñ
ḳhud apne-āp pe rote hue guzartā huuñ
isī liye to mujhe tū dikhā.ī detā nahīñ
maiñ tere ḳhvāb se sote hue guzartā huuñ
gila-guzār diloñ se mirā guzar hai miyāñ
maiñ motiyoñ ko pirote hue guzartā huuñ
vahī zamāna mirī raah rok letā hai
maiñ jis zamāne se hote hue guzartā huuñ
tirī galī se bhī ho aa.uuñ aur pata na chale
jabīñ ke daaġh ko dhote hue guzartā huuñ
main jab wajud se hote hue guzarta hun
KHud apne-ap pe rote hue guzarta hun
isi liye to mujhe tu dikhai deta nahin
main tere KHwab se sote hue guzarta hun
gila-guzar dilon se mera guzar hai miyan
main motiyon ko pirote hue guzarta hun
wahi zamana meri rah rok leta hai
main jis zamane se hote hue guzarta hun
teri gali se bhi ho aaun aur pata na chale
jabin ke dagh ko dhote hue guzarta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.