main jal gaya tha jise rasta dikhate hue
maiñ jal gayā thā jise rāsta dikhāte hue
use taras nahīñ aayā mujhe bujhāte hue
tire visāl se behtar to hijr hotā hai
tire qarīb maiñ aatā huuñ duur jaate hue
na-jāne kaun se kūza-garoñ ke haath lagā
bahut udheḌā gayā hai mujhe banāte hue
mahak badan se abhī tak nahīñ ga.ī us kī
vo jis ne ḳhushbū bikherī gale lagāte hue
ajiib tarah kī vahshat hai mere chāroñ taraf
ki ab to ḳhvāb bhī Darte haiñ mujh tak aate hue
mujh aise shaḳhs ko zaa.e.a kiyā gayā 'farhat'
bhulā dī jaise koī shai kahīñ chhupāte hue
main jal gaya tha jise rasta dikhate hue
use taras nahin aaya mujhe bujhate hue
tere visal se behtar to hijr hota hai
tere qarib main aata hun dur jate hue
na-jaane kaun se kuza-garon ke hath laga
bahut udheDa gaya hai mujhe banate hue
mahak badan se abhi tak nahin gai us ki
wo jis ne KHushbu bikheri gale lagate hue
ajib tarah ki wahshat hai mere chaaron taraf
ki ab to KHwab bhi Darte hain mujh tak aate hue
mujh aise shaKHs ko zaea kiya gaya 'farhat'
bhula di jaise koi shai kahin chhupate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.