main jawab un ko kya dun jo sawal puchhte hain
maiñ javāb un ko kyā duuñ jo savāl pūchhte haiñ
mujhe kar ke ḳhud pareshāñ mirā haal pūchhte haiñ
koī aisā sar-phirā hai koī aisā mubtalā hai
mirī āshiqī kī de kar vo misāl pūchhte haiñ
kisī ik savāl kā bhī na javāb de sakeñge
sar-e-bazm har kisī se jo savāl pūchhte haiñ
tirā zauq-e-āshiqāna huā kab javāñ batānā
vo ba-sad-niyāz-mandī sin-o-sāl pūchhte haiñ
nahīñ sab ke pūchhne kī koī baat is meñ 'hasrat'
jo rafīq haiñ vo aksar mirā haal pūchhte haiñ
main jawab un ko kya dun jo sawal puchhte hain
mujhe kar ke KHud pareshan mera haal puchhte hain
koi aisa sar-phira hai koi aisa mubtala hai
meri aashiqi ki de kar wo misal puchhte hain
kisi ek sawal ka bhi na jawab de sakenge
sar-e-bazm har kisi se jo sawal puchhte hain
tera zauq-e-ashiqana hua kab jawan batana
wo ba-sad-niyaz-mandi sin-o-sal puchhte hain
nahin sab ke puchhne ki koi baat is mein 'hasrat'
jo rafiq hain wo aksar mera haal puchhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.