main jism o jaan ke khel mein bebak ho gaya
maiñ jism o jaañ ke khel meñ bebāk ho gayā
kis ne ye chhū diyā hai ki maiñ chaak ho gayā
kis ne kahā vajūd mirā ḳhaak ho gayā
merā lahū to aap kī poshāk ho gayā
be-sar ke phir rahe haiñ zamāna-shanās log
zinda-nafas ko ahd kā idrāk ho gayā
kab tak lahū kī aag meñ jalte raheñge log
kab tak jiyegā vo jo ġhazabnāk ho gayā
zinda koī kahāñ thā ki sadqa utārtā
āḳhir tamām shahr hī ḳhāshāk ho gayā
lahje kī aañch ruup kī shabnam bhī pī ga.ī
'ajmal' guloñ kī chhāñv meñ namnāk ho gayā
main jism o jaan ke khel mein bebak ho gaya
kis ne ye chhu diya hai ki main chaak ho gaya
kis ne kaha wajud mera KHak ho gaya
mera lahu to aap ki poshak ho gaya
be-sar ke phir rahe hain zamana-shanas log
zinda-nafas ko ahd ka idrak ho gaya
kab tak lahu ki aag mein jalte rahenge log
kab tak jiyega wo jo ghazabnak ho gaya
zinda koi kahan tha ki sadqa utarta
aaKHir tamam shahr hi KHashak ho gaya
lahje ki aanch rup ki shabnam bhi pi gai
'ajmal' gulon ki chhanw mein namnak ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.