main jo guzra salam karne laga
maiñ jo guzrā salām karne lagā
peḌ mujh se kalām karne lagā
dekh ai nau-javān maiñ tujh par
apnī chāhat tamām karne lagā
kyuuñ kisī shab charāġh kī ḳhātir
apnī nīñdeñ harām karne lagā
sochtā huuñ dayār-e-be-parvā
kyuuñ mirā ehtirām karne lagā
umr-e-yak-roz kam nahīñ 'sarvat'
kyuuñ talāsh-e-davām karne lagā
main jo guzra salam karne laga
peD mujh se kalam karne laga
dekh ai nau-jawan main tujh par
apni chahat tamam karne laga
kyun kisi shab charagh ki KHatir
apni ninden haram karne laga
sochta hun dayar-e-be-parwa
kyun mera ehtiram karne laga
umr-e-yak-roz kam nahin 'sarwat'
kyun talash-e-dawam karne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.