main jo kuchh sochta hun ab tumhein bhi sochna hoga
main jo kuchh sochta hun ab tumhein bhi sochna hoga
Himayat Ali Shayar
MORE BYHimayat Ali Shayar
maiñ jo kuchh sochtā huuñ ab tumheñ bhī sochnā hogā
jo hogā zindagī kā Dhab tumheñ bhī sochnā hogā
abhī to aañkh ojhal hai magar ḳhurshīd ke hāthoñ
khīñchegī jab ridā-e-shab tumheñ bhī sochnā hogā
muqaddar meñ tumhāre kyuuñ nahīñ likhkhā ba-juz mere
salīb-o-dār kā mansab tumheñ bhī sochnā hogā
ye kaisā qāfila hai jis meñ saare log tanhā haiñ
ye kis barzaḳh meñ haiñ ham sab tumheñ bhī sochnā hogā
ḳhudā aur aadmī donoñ agar ain-e-haqīqat haiñ
haqīqat meñ hai kyā maz.hab tumheñ bhī sochnā hogā
main jo kuchh sochta hun ab tumhein bhi sochna hoga
jo hoga zindagi ka Dhab tumhein bhi sochna hoga
abhi to aankh ojhal hai magar KHurshid ke hathon
khinchegi jab rida-e-shab tumhein bhi sochna hoga
muqaddar mein tumhaare kyun nahin likhkha ba-juz mere
salib-o-dar ka mansab tumhein bhi sochna hoga
ye kaisa qafila hai jis mein sare log tanha hain
ye kis barzaKH mein hain hum sab tumhein bhi sochna hoga
KHuda aur aadmi donon agar ain-e-haqiqat hain
haqiqat mein hai kya mazhab tumhein bhi sochna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.