main jo mar jaun ajab aalam rahe
maiñ jo mar jā.ūñ ajab aalam rahe
ġham ko bhī marne kā mere ġham rahe
ārzū-e-vasl meñ kyā dam rahe
ḳhūn-e-dil aa kar laboñ par jam rahe
chūḌiyoñ kī haa.e vo dilkash sadā
hashr tak yārab mirā mātam rahe
be-ḳhudī hai ḳhud-farāmoshī nahīñ
ham nahīñ haiñ aap meñ gar ham rahe
jab kisī kī be-kasī yaad aa ga.ī
qatl meñ dast-e-sitam-gar tham rahe
sāmne se haT na o ā.īna-rū
jab tak in āñkhoñ meñ kuchh kuchh dam rahe
uf na kar 'safdar' tah-e-teġh-e-sitam
gardan-e-taslīm vaañ bhī ḳham rahe
main jo mar jaun ajab aalam rahe
gham ko bhi marne ka mere gham rahe
aarzu-e-wasl mein kya dam rahe
KHun-e-dil aa kar labon par jam rahe
chuDiyon ki hae wo dilkash sada
hashr tak yarab mera matam rahe
be-KHudi hai KHud-faramoshi nahin
hum nahin hain aap mein gar hum rahe
jab kisi ki be-kasi yaad aa gai
qatl mein dast-e-sitam-gar tham rahe
samne se haT na o aaina-ru
jab tak in aankhon mein kuchh kuchh dam rahe
uf na kar 'safdar' tah-e-tegh-e-sitam
gardan-e-taslim wan bhi KHam rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.